Wednesday, July 6, 2011

KYUKI

Dil ke dard ko lafzon mein dhaala naa gaya,
Gam ke aansuon ko aankhon se nikaala naa gaya...
Usne mujhe dard is liye diya,
Kyunki usse mera pyaar sambhala naa gaya.

Jisne humko chaaha, use hum chaah naa sake,
Jisko chaaha, use hum paa naa sake...
Yeh samajh lo dil tootna khel hain,
Kisi ka todkar apnaa bhi bacha naa sake.


Kalam uthai hain lafz nahin milta, 
Jisko dhoondhte hain woh shaks
nahin milta... Ghoomte hain woh zamaane ki talaash mein,
Bas humaare liye hi unhe waqt nahin milta.
 
Paane se khone ka mazaa aur hain,
Band aankhon se dekhne ka mazaa aur hain...
Aansu bane lafz aur lafz gazal,
Teri yaadon ke saath jeene ka mazaa aur hain...

No comments:

Post a Comment