Sunday, March 27, 2011

MAA (dis is for mine father whom missing maa)

Maa aaj tu udaas hai
Magar yeh sab dekhne ka samay kiske paas hai
mujhe yaad hai ! mujhe yaad hai
Jab mujhe akal nahi thi
pehan-ne ki chaadi
tab tu na jaane kaise
khincha karti thi jivan ki gaadi.
aaj tune mujhe padaya likhaya aur
ish kavil banaya, magar main
itna khudgarj nikla
ek pal ke liye bhi teri taraf dekh na paya.
Jab main tut chuka tha
pasat ho chuka tha
duniya ke thapede kha-kar
thak kar chur ho chuka tha
tab keval tu hi thi.
Jisne mere sar par haath pher kar kaha tha
beta tu ek na ek din jindgi main jarur
kamyaab hoga aur bas us din se lekar
aaj tak kabhi mudkar nahi dekha
piche mudne ka samay toh nhi mila
tu to wayast rehti thi
chulha-chaki mein lekin main laga rehta tha sir apne taraaki main.
kabhi tughse nahi puch maa bata kya gam hai
jo tughe ander hi ander khaye ja raha hai
woh kaun si baat hai jo tughe apne main samaye ja rahi hai.
lekin main itna khudgarj tha kabhi tere paas do
pal ke liye bhi beth nahi paya kabhi bhi tughe
samay nahi de paya aur samay diya hai toh aaj jab
tu so chuki hai gahari nidra main.
maan tu sirf ek baar wapas aa ja kayonki main
phir se ek baar teri gaud main sar rakh-kar
sona chahta hoon.
sunana chahta hoon phir se woh loriyan jo
tu mughe bachpan main sunaya karti thi.

jinhe sunkar main anand vibhor ho utha tha

sirf ek baar laut aa maa
sirf ek baar laut aa maa

dis is by mine cousion

yaad hai mujhe
mera woh waqt....
khelte the hum...
keenchad ho ya mitti ho...
dhoop ho ya baarish ho
...sirf khelte the hum
jee bhar kar rote the
jee bhar kar hanste the...
ladte the jhagadte the...
par agle din fir se
khelte the hum....
koi rok nahi...
koi tonk nahi.....
koi gham nahi
koi chinta nahi....
manmaani karte the
aur khelte the hum......
kisi se koi bhed nahi
koi apna nahi
koi paraya nahi....
koi accha nahi...
koi bura nahi.....
koi galat nahi....
koi sahi nahi...
sabke saath milkar..
bas khelte the hum....

ab thoda fark aaya hai
khel me waqt ke sath....
ab hum khud nahi khelte
zindagi khelti hai...
humare saath....
jamane ki rok tonk hai....
sapno ki chinta hai....
dil me gham hai.....
man ka ab koi mol nahi....
kaun hamare aage hai...
kitne humare peeche hain.....
na chate hue bhi ye sab
ab khlte hain hum...
is samajh ne to...
aur bigada hai khel ko..
duniya ki samajh.....
insaan ki samajh.....
paap punya ki samajh....
doosre ki samajh...
apni samjh...
majboor hain apni samajh se...
sab kluch samajhkar bhi...
ye sab khlte hain hum........

kya karoon main
kaise karoon main
jaana chahta hoon
usi waqt me.....
jab sabkuch bhool kar...
sirf khelte hum.......

yaadain

Ek ehsaas ka naam hai yaadain
Jo yaad dilati hai man ko hazaar wadain
Aaj hum yahan hai kal na jaane kahan honge
Lekar sabse vida apne rahaon ko chal denge

    Jan akele main yaad kiya karange in dinon ko
    Ek halka sa ehsaas num kar jayega ankon ko
    Ishi ek ehsaas ka naam hai yaadain

Aaj khub ki baatain doston ke saath
Gujare hai kuch hasin lamhe hanthon main lekar haath
Kal naa yeh dost rahange, na hum aur na ye batain

    reh jayage to sirf yaadain ! yaadain ! yaadain